bikharaa ke zulfe.n chaman me.n na jaanaa
- Movie: Nazrana
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Mukesh
- Music Director: Ravi
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Raj Kapoor, Vyjayantimala
- Year/Decade: 1961, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
bikharaa ke zulfe.n chaman me.n na jaanaa
- kyo.n?
is liye
ki sharmaa na jaaye.n phuulo.n ke saaye
muhabbat ke naGame tum bhii na gaanaa
- kyo.n?
is liye
ki bha.Nvaraa tumhaarii ha.Nsii na u.Daaye
muhabbat ke bha.Nvare kii pahachaan kyaa?
ye kaliyo.n se puuchho hame.n kyaa pataa
har_jaa_ii hogaa
ham to nahii.n hai.n
kahii.n siikh lenaa na tum ye adaa
zubaa.N par kabhii baat aisii na laanaa
- kyo.n?
is liye
ki duniyaa.N se rasm-e-vafaa miT na jaaye
kaho saath doge kahaa.N tak meraa
vahaa.N tak jahaa.N aasamaa.N jhuk rahaa
bolo chalogii?
jo tum le chaloge
kahii.n raah me.n ho na jaanaa judaa
meraa pyaar dekhegaa saaraa zamaanaa
- kyo.n?
is liye
ki vaade kiye aur kar ke nibhaaye
Comments/Credits:
% Transliterator: Vijay Kumar