bhiigii bhiigii raato.n me.n
- Movie: Ajnabi
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
- Music Director: R D Burman
- Lyricist: Anand Bakshi
- Actors/Actresses: Yogita Bali, Rajesh Khanna, Zeenat Aman
- Year/Decade: 1974, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kishor: bhiigii bhiigii raato.n me.n, miiThii miiThii baato.n me.n
aisii barasaato me.n, kaisaa lagataa hai?
lataa: (aisaa lagataa hai tum banake baadal,
mere badan ko bhigoke mujhe, chhe.D rahe ho o
chhe.D rahe ho ) - 2
lataa: (ambar khele holii uii maa.N
bhiigii morii cholii, hamajolii, hamajolii ) - 2
o, paanii ke is rele me.n saavan ke is mele me.n
chhat pe akele me.n
kaisaa lagataa hai
kishor: aisaa lagataa hai
tU banake ghaTaa apane sajan ko bhigoke khel khel rahii ho o
khel rahii ho
lataa: aisaa lagataa hai
tum banake baadal mere badan ko bhigoke mujhe chhe.D rahe ho ho.
chhe.D rahe ho
kishor: (barakhaa se bachaa luu.N tujhe
siine se lagaa luu.N
aa chhupaa luu.n aa chhuupaa luu.N ) - 2
dil ne pukaaraa dekho rut kaa ishaaraa dekho
uf ye nazaaraa dekho
kaisaa lagataa hai, bolo?
lataa: aisaa lagataa hai kuchh ho jaayegaa
mast pavan ke ye jhoke.n sai.nyaa dekh rahe ho o
dekh rahe ho
aisaa lagataa hai
tum banake baadal mere badan ko bhigoke mujhe chhe.D rahe ho ho
chhe.D rahe ho
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)