bahut shukriyaa, ba.Dii meharabaanii
- Movie: Ek Musafir Ek Hasina
- Singer(s): Mohammad Rafi, Asha Bhonsle
- Music Director: O P Nayyar
- Lyricist: S H Bihari
- Actors/Actresses: Joy Mukherjee, Sadhana
- Year/Decade: 1962, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
ra: bahut shukriyaa ba.Dii meharabaanii
merii zindagii me.n huzuur aap aae
kadam chuum luu.N yaa ye aa.Nkhe.n bichhaa duu.N
karuu.N kyaa ye merii samajh me.n na aae
bahut shukriyaa...
karuu.N pesh tumako nazaraanaa dil kaa
nazaraanaa dil kaa
ke ban jaae koii afasaanaa dil kaa
khudaa jaane aisii suhaanii gha.Dii phir - 2
merii zindagii me.n palaT ke na aae
bahut shukriyaa...
khushii to bahut hai, magar ye bhii Gam hai
ke ye saath apanaa kadam do kadam hai
magar ye musaafir duaa maa.Ngataa hai - (2)
khudaa aapase kisii din milaae
bahut shukriyaa...
aa:
mujhe Dar hai mujhame.n Guruur aa na jaae
laguu.N jhuumane mai.n suruur aa na jaae
kahii.n dil ye meraa ye taariif sunakar - (2)
tumhaaraa bane aur mujhe bhuul jaae
bahut shukriyaa...
Comments/Credits:
% Credits: rec.music.indian.misc % Renu Tewari (tewari@cs.utexas.edu) % Kedar Nahade (ksn2@Lehigh.EDU) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)