ai chaa.Nd zaraa sun le
- Movie: Pyar ki manzil
- Singer(s): Lata Mangeshkar, Husnlal
- Music Director: Husnlal-Bhagatram
- Lyricist: Shevan Rizvi
- Actors/Actresses: Rehman, Gope, Munavvar Sultana
- Year/Decade: 1950, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
l: ai chaa.Nd zaraa sun le chhoTaa saa fasaanaa hai
hu: tujh par bhii javaanii hai apanaa bhii zamaanaa hai
ai chaa.Nd zaraa sun le
hu: ik husn kaa panaghaT par ik husn kii raanii thii
Kaamosh nigaahe.n thii Gurabat me.n javaanii thii
l: Kaamosh nigaaho.n kaa kuchh haal sunaanaa hai
ai chaa.Nd zaraa sun le ...
l: anajaan kii nazaro.n me.n kuchh aisii hu_ii baate.n
pahachaanii hu_ii jaise hotii hai.n mulaaqate.n
hu: kyaa dil me.n kisii ke thaa ye dil ne hii jaanaa hai
ai chaa.Nd zaraa sun le ...
l: aa.Nkho.n se hamaarii vo tasaviir nahii.n jaatii
hu: pahale kii tarah ham ko kyo.n nii.nd nahii.n aatii
l: vo aur zamaanaa thaa ye aur zamaanaa hai
ai chaa.Nd zaraa sun le ...
Comments/Credits:
% Transliterator: Prithviraj Dasgupta % Date: Mar 15, 2001 % Availability: All Time Greats Husnalal-Bhagatram - CD/CS