Browse songs by

ab kahaa.N pyaar me.n paakiizagii kaa naam\-o\-nishaa.N - - Runa Laila

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ab kahaa.N pyaar me.n paakiizagii kaa naam-o-nishaa.N
jism kii bhuuk hai aur isake siwaa kuchh bhii nahii.n

wo sadii biit chukii jisame.n the lailaa majanuu
aaj to sirf hai duniyaa me.n dikhaave kaa junuu.N
aur phir Dhuu.NDhate phirate hai.n muhabbat kaa sukuu.N
in iraado.n me.n gunaaho.n ke siwaa kuchh bhii nahii.n

zulm hotaa hai a.ndhero.n me.n hawas palatii hai
jisame.n taaqat hai yahaa.N usakii sadaa chalatii hai
zaKm taazaa hai.n magar phir bhii chhurii chalatii hai
marz kuchh aise bhii hai.n jinakii dawaa kuchh bhii nahii.n

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image