Browse songs by

aaye hai.n balamaa ho din pyaare pyaare

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

zii : aaye hai.n balamaa ho din pyaare pyaare
aaye hai.n balamaa
aaye hai.n balamaa ho din pyaare pyaare
ab jaage bhaag hamaare, din pyaare pyaare

tum haar haar kar jiit gaye /-2
ham jiit jiit kar haare balamaa hamaare /-2
aaye hai.n balamaa /...

du : duniyaa hai ye priit kii dushman
riit ye dekhe priit kii dushman
duniyaa na_ii basaaye.nge hum tum
do : gaaye.nge hum tum mil ke giit hamaare
din pyaare pyaare
aaye hai.n balamaa /...

zii : na_ii Kushiyaa.N aaj bulaatii.n hai.n /-2
kar kar ke ishaare balamaa hamaare /-2
do : aaye hai.n balamaa ho din pyaare pyaare

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Malini Kanth
% Credits: Balaji Murthy, Naniwadekar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image