Browse songs by

aaj ko_ii pyaar se dil kii baate.n kah gayaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

aaj ko_ii pyaar se dil kii baate.n kah gayaa, haay
mai.n to aage ba.Dh ga_ii piichhe zamaanaa rah gayaa,
haay raam

chiir kar patthar kaa siinaa jhuum kar jharanaa bahaa
is me.n ik tuufaan thaa sau karawaTe.n letaa hu_aa
aaj maujo.n kii rawaanii me.n kinaaraa bah gayaa
haay, ik kinaaraa bah gayaa

unake hoTho.n par ha.Nsii, haay khil ke jab laharaa ga_ii

wo bhii kuchh ghabaraa ga_e
mai.n bhii kuchh sharamaa ga_ii
wo bhii kuchh ghabaraa ga_e
aur mai.n bhii kuchh sharamaa ga_ii

kuchh nahii.n kahate hu_e bhii ko_ii sab kuchh kah gayaa
haay, ko_ii sab kuchh kah gayaa

Comments/Credits:

			 % Date: 18 jan 2003
% Comments: Geetanjali Series.
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image