aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar
- Movie: Mehbooba
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Roshan
- Lyricist: Tanvir Naqvi
- Actors/Actresses: Nalini Jaywant, Shammi Kapoor
- Year/Decade: 1954, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
(aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar)-2
raah takate thak gayaa hai i.ntazaar
aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar
is qadar bechain hai duniyaa merii
dil kii har Dha.Dakan me.n hai aahaT terii
aarazu_e.n ho rahii.n hai.n beqaraar
aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar
(dil sadaaye.n de rahaa hai tuu kahaa.N)-2
mu.ntazir hai.n chaa.Nd taare aasamaa.N
ye havaa_e.n ye fizaaye.n ye bahaar
aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar
aas tere vo hasii.n raate.n ga_ii
pyaar kii ra.ngii.n mulaaqaate.n ga_ii
rah gayaa hai dard dil kii yaadagaar
aa ke ab aataa nahii.n dil ko qaraar
Comments/Credits:
% Transliterator: Srinivas Ganti % Credits: Arunabha Roy % Date: January 30, 2002 % Comments: LATAnjali series