dekho ruuThaa naa karo, baat nazaro.n kii suno
- Movie: Tere Ghar Ke Samne
- Singer(s): Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
- Music Director: S D Burman
- Lyricist: Hasrat Jaipuri
- Actors/Actresses: Nutan, Dev Anand
- Year/Decade: 1963, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
(rafii: dekho ruuThaa naa karo, baat nazaro.n kii suno
lataa: ham na bole.nge kabhii, tum sataayaa naa karo ) - 2
rafii: dekho ruuThaa naa karo
rafii: cheharaa to laal huaa, kyaa kyaa haal huaa
is adaa par terii, mai.n to paagal huaa
tum biga.Dane jo lago, aur bhii ha.nsii.n lago
lataa: ham na bole.nge kabhii, tum sataayaa naa karo
rafii: dekho ruuThaa naa karo
lataa: jaan par merii banii, aapakii Thaharii ha.nsii
haay, mai.n jaan ga_ii, pyaar kii chikanaagarii (?)
dil jalaane ke liye, Tha.nDii aahe.n na bharo
rafii: dekho ruuThaa naa karo, baat nazaro.n kii suno
lataa: ham na bole.nge kabhii
rafii: terii khushabuu ne mere, hosh bhii chhiin liye
hai.n khushii aaj hame, tere pahaluu me.n gire
dil kii dha.Dakan pe zaraa, phuul saa haath rakho
lataa: ham na bole.nge kabhii, tum sataayaa naa karo
rafii: dekho ruuThaa naa karo
lataa: kyaa kahegaa ye samaa, in raaho.n kaa dhu.Naa
laaj aae mujhe, mujhako laae ho kahaa.N
ham tumhe maan gae, tum ba.De vo ho haTo
rafii: dekho ruuThaa naa karo, baat nazaro.n kii suno
lataa: ham na bole.nge kabhii, tum sataayaa naa karo
rafii: dekho ruuThaa naa karo
Comments/Credits:
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu) % Kedar Nahade (ksn2@Lehigh.EDU) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)