1. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ? aaKHir is dard kee dawa kya hai 2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ? [ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ] 3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ? 4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai 5. ye paree chehara log kaise haiN ? GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ? [ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance, ishwa = coquetry ] 6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ? nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ? [ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ] 7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ? abr kya cheez hai, hawa kya hai ? [ abr = clouds ] 8. hamko unse wafa ki hai ummeed jo naheeN jaante wafa kya hai 9. "haaN bhala kar tera bhala hoga" aur darvesh kee sada kya hai ? [ darvesh = beggar, sada = voice ] 10. jaan tum par nisaar karta hooN maiN naheeN jaanata duaa kya hai 11. maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib' muft haath aaye to bura kya hai ?
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.