1. daayam paDa huaa tere dar par naheeN hooN maiN KHaak 'eisee zindagee pe ke patthar naheeN hooN maiN [ daayam = always ] 2. kyooN gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil ? insaan hooN, pyaala-o-saaGHar naheeN hooN maiN [ gardish = bad time/luck, mudaam = always ] 3. yaarab ! zamaana mujhko miTaata hai kis liye ? loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN [ harf = alphabet, muqarrar = again ] 4. had chaahiye saza meiN uqoobat ke waaste aaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN [ uqoobat = pain ] 5. kis waaste 'azeez naheeN jaante mujhe ? laal-o-zumarrud-o-zar-o-gauhar naheeN hooN maiN [ laal = a kind of gem, zumurrud = green colored gem, zar = gold, gauhar = gem ] 6. rakhte ho tum qadam meree aaNkhoN se kya dareGH rutbe meiN mehar-o-maah se kamtar naheeN hooN maiN [ dareGH = regret/grief, mehar = sun, maah = moon ] 7. karte ho mujhko man'a-e-qadam_bos kis liye ? kya aasmaan ke bhee baraabar naheeN hooN maiN ? [ bosa = kiss ] 8. 'GHalib' wazifaa_KHwaar ho, do shaah ko duaa woh din gaye ki kehte the;, "naukar naheeN hooN maiN" [ wazifaa_KHawaar = pensioner ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.