1. dil se teree nigaah jigar tak utar gayee donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee 2. shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee [ shaq = crack/split, firaaq = separation, pardaadaaree = to hide, esp. fault ] 3. woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ? uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee [ baada = wine, shabaana = night, sahar = morning ] 4. uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee [ baare = at last, koo-e-yaar = lover's street ] 5. dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee [ dil_fareb = heart alluring, naqsh = copy/print, pa = leg, mauj = wave/enjoyment, KHiraam = speed ] 6. har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee [ bulhawas = greedy, husn_parastee = to appreciate beauty, shiaar = habit, aabru = respect/honour, sheva = manner/habit ] 7. nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee 8. farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee [ farda = yesterday, dee = tomorrow, tafarqa = difference ] 9. maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ? [ walwale = enthusiasm ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.