1. kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse [ jafaayeN = opression/tyranny of a beloved ] 2. KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse [ jazbaa-e-dil = emotions, taaseer = impression ] 3. woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse [ bad_KHoo = bad habits, tulaanee = long, ibaarat = diction/ admonishing, muKHtasar = concise, qaasid = messenger ] 4. udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse [ badGHumaanee = suspicion, naatavaanee = weakness ] 5. sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse 6. takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse [ taqalluf = hesitation/formality, bartaraf = suspend ] 7. hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN zaKHmee na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse [ nabard-e-ishaq = struggle in love ] 8. qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib' woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.