Submitted by: U.V. Ravindra (uvr@tata_elxsi.soft.net),
Additions and Corrections by: Dhawal Tyagi (tyagi@srishti.cns.vt.edu)
-----------------------------

1.      zikr us pareewash kaa, aur phir bayaaN apnaa
	ban gayaa raqeeb aaKHir thaa jo raazdaaN apnaa
	
	[pareewash=angel/beauty/fairy, raqeeb=enemy, raazdaaN=friend]

2.	Main wo kyoN bahut peete bazm-e-ghair meN yarab
	Aaj hi hua manzoor un ko imtihaaN apna 

3.	manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte
	'arsh se idhar hotaa kaash ke makaaN apnaa

	['arsh=heaven]

4.	De woh jis qadar zillat hum haNsee meN taleNge
	Baarey Aashna nikla unka paasbaN apna


5.	dard-e-dil likhooN kab tak?  jaaooN unko dikhlaa dooN --
	uNgliyaaN figaar apni KHaamaa_KHooN chakaaN apnaa

	[ figaar=wounded/sore, KHaam=inexpert/green/raw/immature,
	  KHaama_KHooN=young blood, chakaaN=dripping]

6.	ghiste ghiste mit jaata aap ne ????? badla
	naNg-e-sajdaH se mere sang-e-aastaN apna

7.	ta kare na ghammazee, kar liya hai dushman ko
	dost kee shikayat meN hum ne hum-zabaaN apna

8.	ham kahaaN ke daanaa the?  kis hunar meiN yaktaa the?
	be_sabab huaa 'GHalib' dushman aasmaaN apnaa

	[daanaa=wise/learned, yaktaa=unique]



Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.