1.      jis bazm meiN too naaz se guftaar meiN aave
        jaaN  kaalbud-e-soorat-e-deewaar  meiN aave

        [ naaz = blandishment/pride/grace, guftaar = speech/discourse,
          kaalbud = the body/form/model ]

2.      saaye kee tarah saath firaiN,  sarv-o-sanobar
        too iss qad-e-dilkash se jo gulzaar meiN aave

        [ sarv-o-sanobar = pine & cypress, qad = stature/size/figure,
          gulzaar = bed of roses/garden ]

3.      tay   naaz-e-giraaN_maaygi-e-ashq   baja  hai
        jab laKHt-e-jigar deeda-e-KHooNbaar meiN aave

        [ tay = decided/ended, giraaN = precious, giraaN_maaya = of great
          value, ashq = tears, baja = right/correct, laKHt = piece/fragment,
          deeda = sight, KHooNbaar = shedding blood ]

4.      de mujhko  shikaayat kee ijaazat  ki sitamgar
        kuchch tujhko maza bhee mere aazaar meiN aave

        [ sitamgar = oppressor, aazaar = illness/harm ]

5.      uss chashm-e-fusooN_gar ka agar paaye ishaara
        tootee  kee tarah  aaeena  guftaar meiN  aave

        [ chashm = eye, fusooN_gar = magician, tootee = bird (could be
          a parrot), guftaar = speech ]

6.      kaatoN kee zabaaN sookh gayee pyaas se, yaarab !
        ik  aablaa_paa  waadee-e-pur_KHaar  meiN  aave

        [ aablaa = blister, aablaa_paa = having blisters on the feet,
          waadee = valley, pur_KHaar = full of thorns (KHaar = thorn) ]

7.      mar jaaooN na kyoN rashk se jab woh tan-e-naazuk
        aaGHosh-e-KHaam-e-halqa-e-zunnaar    meiN   aave

        [ rashk = jeaously, tan-e-naazuk = having delicate body,
          aaGHosh = embrace/bosom, KHaam = raw/unripe/crude, halqa = circle,
          zunnaar = the sacred thread worn by hindus ]

8.      GHaarat_gar-e-naamoos  na ho gar  hawas-e-zar
        kyoN shaahid-e-gul baaGH se baazaar meiN aave

        [ GHaarat = plunder/ravage, naamoos = reputation/honour,
          zar = money/wealth, shaahid = sweetheart ]

9.      tab chaak-e-girebaaN ka maza hai, dil-e-naadaaN
        jab ik  nafas  uljha  huaa  har taar  meiN aave

        [ chaak = torn, girebaaN = collar, nafas = breath ]

10.     aatish_kada hai seena mera raaz-e-nihaaN se
        de waaye ! agar maa'ariz-e-izhaar meiN aave

        [ raaz-e-nihaan = hidden secrets, maa'ariz = boundary ]

11.     gaNjeena-e-maa'anee ka talism usko samajhiye
        jo  lafz  ki 'GHalib' mere ash'aar meiN aave

        [ gaNjeena = treasure, maa'anee = meaning, talism = magic,
          ash'aar = couplets ]

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.