1. laazim tha ki dekho mera rasta koee din aur tanha gaye kyoN ? ab raho tanha koee din aur [ laazim = necessary, tanha = alone ] 2. mit jaayega sar, gar tera patthar na ghisega hooN dar pe tere naasiyaa_farsa koee din aur [ dar = door, naasiyaa = forehead, farsa = to kneel down and touch the forehead on the ground as in prostrate ] 3. aaye ho kal aur aaj hee kehte ho ki jaaooN maana ki hamesha naheeN, achchaa, koee din aur 4. jaate huve kahte ho, qayaamat ko milenge kya khoob ! qayaamat ka hai goya koee din aur ? 5. haaN 'ei falak-e-peer, javaaN tha abhee 'aarif' kya tera bigaData jo na marta koee din aur ? [ falak = sky/heaven, falak-e-peer = reffering to the sky ] 6. tum maah-e-shab-e-char_dahum the; mere ghar ke phir kyoN na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ? [ maah-e-shab-e-char_dahum = moon of the fourteenth night ] 7. tum kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ? karta malak_ul_maut taqaaza koee din aur ? [ daad = justice, sitad = to take (Note : the word 'sitad' is not used by itself, but is used along with 'daad' as in 'daad-o-sitad', meaning 'buyling and selling'/'settlement of accounts'. I have given separate meanings of the words for the benefit of the readers.), malak = an angel, malak_ul_maut = angel of death, taqaaza = demanding/pressing settlement of a claim ] 8. mujhse tumhaiN nafrat sahee, 'nayyar' se laDaayee bachhoN ka bhee dekha na tamaasha koee din aur ? 9. guzree na baharhaal yah muddat KHushee-naaKHush karna tha, javaaN_marg ! guzaara koee din aur [ baharhaal = in any case, javaaN_marg = one who dies young ] 10. naadaaN ho jo kehte ho ki kyoN jeete ho 'GHalib' qismat meiN hai marne ki tamanna koee din aur ?
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.