1. maze jahaan ke apnee nazar meiN KHaak naheeN siwaay KHoon-e-jigar, so jigar meiN KHaak naheeN 2. magar GHubaar huve par hawa uDaa le jaaye wagarna taab-o-tavaaN baal-o-par meiN KHaak naheeN [ GHubaar = clouds of dust, taab-o-tavaaN = courage/strength, bal-o-par = feathers & wings ] 3. yeh kis bahisht_shamaail kee aamad-aamad hai ? ke GHair jalva-e-gul rahguzar meiN KHaak naheeN [ bahisht = heaven, shamaail = habits, aamad = arrival, jalva-e-gul = display of flowers, rahguzar = path ] 4. bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa asar mere nafas-e-be_asar meiN KHaak naheeN [ nafas = breath ] 5. KHayaal-e-jalva-e-gul se KHaraab hai maikash sharaabKHane ke deewar-o-dar meiN KHaak naheeN 6. huwa hooN ishq ki GHaaratgaree se sharminda siwaay hasrat-e-taameer ghar meiN KHaak naheeN [ GHaaratgree = destructiveness, taameer = construction ] 7. hamaare sher haiN ab sirf dil_lagee ke 'Asad' khulaa ki faayda arz-e-hunar meiN KHaak naheeN [ arz-e-hunar = display of talents ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.