1. us bazm meiN mujhe naheeN bantee haya kiye baiThaa raha agarche ishaare huwa kiye 2. dil hee to hai, siyaasat-e-darbaaN se Dar gaya maiN, aur jaaooN dar se tere bin sada kiye ? [ siyaasat = politics, darbaaN = doorkeeper/sentry, dar = door, sada = sound, here it means conversation ] 3. rakhta firooN hooN KHirqa-o-sajjaada rahn meiN muddat huee hai daavat-e-aab-o-hawa kiye [ KHirqa = a patched garment, sajjaada = a prayer carpet, rahn = mortgage, aab-o-hawa = climate ] 4. be_sarfa hee guzartee hai, ho garche umr-e-KHijr hazarat bhee kal kahenge ki ham kya kiya kiye ? [ be_sarfa = simple life, umr-e-KHijr = everlasting life ] 5. maqdoor ho to KHaak se poochchooN, ke 'ei laeem toone woh ganj haay giraaN_maaya kya kiye ? [ maqdoor = capable, KHaak = dust/earth, laeem = miserly, ganj = treasure/wealth, giraaN_maaya = valuble/precious ] 6. kis roz tohamataiN na taraasha kiye 'adoo kis din hamaare sar pe na aare chala kiye [ tohamataiN = accusitions, 'adoo = enemy ] 7. sohbat meiN GHair kee na paDee ho kaheeN yeh KHoo dene laga hai bose baGHair iltijaa kiye [ sohbat = company, KHoo = habit, bose = kisses, iltijaa = request ] 8. zid kee hai aur baat magar KHoo buree naheeN bhoole se usne saikDoN waade-wafa kiye [ KHoo = habit ] 10. 'GHalib' tumheeN kaho ki milega jawaab kya ? maana ki tum kaha kiye, aur woh suna kiye
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.