1. diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ? huwa raqeeb to ho, naamaabar hai, kya kahiye ? [ bashar = man/human being, raqeeb = opponent, naamaabar = messenger ] 2. yeh zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ? [ qaza = fate/destiny, shikwa = complaint ] 3. rahe haiN yoN gah-o-be_gah ki koo-e-dost ko ab agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ? [ gah = time, koo-e-dost = friend's/lover's street ] 4. zah-e-karishma ki yoN de rakhaa hai hamko fareb ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye ? [ zah = child, karishma = wonder/miracle, fareb = deception ] 5. samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal ki yeh kahe ki sar-e-rehguzar hai, kya kahiye ? [ pursish = enquiry, sar-e-rehguzar = on the road ] 6. tumhaiN naheeN hai sar-e-rishtaa-e-wafa ka KHayaal hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ? 7. unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ? hame jawaab se qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ? [ zoam = pride, junooN = madness/frenzy, qata'a = break/intercept, qata'a-e-nazar = to ignore ] 8. hasad sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ? [ hasad = envy/malice, sitam = oppression, bahaa = value/price, mata'a = valuables ] 9. kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin siwaay iske ki aashuftaa_sar hai kya kahiye ? [ aashuftaa_sar = mentally deranged ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.