1. hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur [ gumaaN = doubt/suspicion ] 2. yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur 3. abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur [ abroo = eyebrow, paiband = patch ] 4. tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaaN aur 5. harchand subak_dast hue but_shikanee meiN ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur [ subak_dast (or sabuk_dast both are correct) = expert, but_shikanee = iconoclast, sang = stone, giraaN = heavy ] 6. hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur [ deeda = eye, KHooNnaaba = mixture of blood and water, {KHooNnaaba = KHooN (= blood) + aab (= water)}, fishaaN = shed /spread, KHooNnaaba_fishaaN = to sheds tears of blood ] 7. marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur' [ jallaad = executioner ] 8. logoN ko hai KHursheed-e-jahaaN taab ka dhoka har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur [ Khursheed = sun, taab = power/courage, nihaaN = hidden ] 9. leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur [ fuGHaaN = clamour ] 10. paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur [ naale = lamentation, tab'a = temperament ] 11. haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur [ suKHanwar = poet ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.