1.      kisee  ko  de ke dil  koee  nawaa_sanj-e-fuGHaaN   kyoN   ho ?
        na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?

        [ nawaa_sanj = singer, fuGHaaN = clamour ]

2.      woh apnee KHoo na  choDenge, ham apnee waz'a  kyoN  badleiN ?
        subak_sar banke  kya  poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?

        [ KHoo = habit, waz'a = conduct/behaviour, subak_sar = light headed/
          unsteady, sar_giraaN = arrogant/proud ]

3.      kiya GHam_KHwaar ne ruswa,  lage aag is muhabbat ko
        na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ?

        [ GHam_Khawaar = comforter, taab = courage/patience,
          raazdaaN = friend ]

4.      wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
        to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN  ho ?

        [ sang_dil = hard hearted/merciless, sang-e-aastaaN = threshold ]

5.      qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
        giree hai jis pe kal bijlee woh mera  aashiyaaN kyoN ho ?

        [ qafas = cage/prison, roodaad = report/statement ]

6.      ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao
        ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ?

        [ nihaaN = hidden ]

7.      GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa,  dekho juRm kiska hai
        na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ?

        [ jazba = desire/feeling, shikwa = complaint,
          kashaakash = struggle/dilemma, darmiyaaN = betwwen ]

8.      ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ?
        hue tum dost jiske, dushman uska  aasmaaN  kyoN ho ?

        [ fitna = quarrel, KHaanaa_weeraanee = ruinning of home ]

9.      yahee  hai aazmaana to sataana kis  ko kehte haiN ?
        `adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?

        [ 'adoo = enemy, imtihaaN = examination ]

10.     kaha  tumne ki  "kyoN  ho GHair  ke  milne  meiN ruswaaee ?"
        baja kehte ho, sach kehte ho, fir kahiyo ki "haaN kyoN ho ?"

        [ ruswaaee = disgrace, baja = right/correct ]

11.     nikaala chaahata hai kaam kya taa'anoN se too 'GHalib'
        tere be_mehar kehne se wo tujh par meharabaaN kyoN ho ?

        [ taa'an = taunter, be_mehar = unkind/repulsive ]

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.