1. fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya dil jigar tashna-e-fariyaad aaya [ deeda-e-tar = wet eyes, tashna (or tishna ) = thirsty ] 2. dam liya tha na qayaamat ne hanoz fir tera waqt-e-safar yaad aaya [ hanoz = yet/still ] 3. saadgee haay tamanna, yaanee fir wo nai_rang-e-nazar yaad aaya [ nai_rang = fascinating ] 4. uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil naala karta tha jigar yaad aaya [ uzr = excuse, waamaaNdagee = tiredness ] 5. zindgee yoN bhee guzar hi jaatee kyoN tera raahguzar yaad aaya ? 6. kya hee rizwaaN se laDaayee hogee ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya [ rizwaaN = doorkeeper of paradise, KHuld = heaven/paradise ] 7. aah woh jurat-e-fariyaad kahaaN dil se tang aake jigar yaad aaya [ jurat = courage/valour ] 8. fir tere kooche ko jaata hai KHayaal dil-e-gumgashta magar yaad aaya [ koocha = a narrow street/lane, gumgashta = missing ] 9. koee weeraanee-see-weeraanee hai dasht ko dekh ke ghar yaad aaya [ dasht = desert ] 10. maiNne majnooN pe laDakpan meiN 'Asad' sang uTHaaya tha ki sar yaad aaya [ sang = stone ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.