1. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ? royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ? [ sang = stone, KHisht = brick ] 2. dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ? [ dair = temple, haram = mosque, dar = gate, aastaaN = abode, rehguzar = path/way ] 3. jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ? [ jamaal = beauty, faroz = shining/luminous, meher = sun, neem_roz = mid day, nazzaara_soz = beautiful/worth seeing ] 4. dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ? [ dashna = dagger, GHamza = amorous glance, jaaN_sitaaN = distroying life, naawak = a kind of arrow, aks = image ] 5. qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ? [ hayaat = life, band-e-Gham = conceled sorrows, nijaat = release/liberation ] 6. husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN ? [ husn_zan = favourable view, bulhawas = slave of passions/very greedy, 'eitmaad = reliance/dependance ] 7. waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN ? [ GHuroor = pride, iz'z-o-naaz = respect and beauty, hijaab = veil/modesty, paas = regard, waz'a = behaviour ] 8. haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ? [ parast = worshipper, deen = religion/faith ] 9. 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ? roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ? [ KHasta = sick/injured, zaar-zaar = bitterly ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.