1.      koee  ummeed  bar naheeN aatee
        koee soorat nazar naheeN aatee

2.      maut  ka  ek  din   mu'ayyan  hai
        neeNd kyoN raat bhar naheeN aatee ?

        [ mu'ayyan = definite ]

3.      aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee
        ab   kisee  baat  par  naheeN  aatee

4.      jaanta hooN sawaab-e-taa'at-o-zahad
        par  tabeeyat  idhar  naheeN  aatee

        [ sawaab = reward of good deeds in next life, taa'at = devotion,
          zahad = religious deeds or duties ]

5.      hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN
        warna  kya   baat   kar  naheeN   aatee ?

6.      kyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN
        meree   aawaaz   gar   naheeN   aatee

7.      daaGH-e-dil  gar  nazar   naheeN  aata
        boo bhee 'ei chaaraagar ! naheeN aatee

        [ chaaraagar = healer/doctor ]

8.      ham  wahaaN  haiN jahaaN se hamko bhee
        kuchch  hamaaree KHabar  naheeN  aatee

9.      marte haiN aarzoo meiN marne ki
        maut aatee hai par naheeN aatee

10.     kaaba'a kis muNh se jaaoge 'GHalib'
        sharm  tumko  magar  naheeN  aatee

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.