1. hairaaN hooN dil ko ro'ooN ki peetooN jigar ko maiN ? maqdoor hooN to saath rakhooN nauhaagar ko maiN [ maqdoor = capable, nauhaagar = mourner/lamenter ] 2. choDa na rashk ne ki tere ghar ka naam looN ? har ek se poochta hooN ki jaaooN kidhar ko maiN ? [ rashk = jealousy ] 3. jaana paDa raqeeb ke dar par hazaar baar 'ei kaash jaanta na teree rahguzar ko maiN [ raqeeb = opponent, rahguzar = road/path ] 4. hai kya jo kas ke baaNdhiye meree bala dar'e kya jaanta naheeN hooN tumhaaree kamar ko maiN ? 5. lo woh bhee kahate haiN ki yeh be_nang-o-naam hai yeh jaanta agar to luTaata na ghar ko maiN 6. chalta hooN thoDee door har ik tez rau ke saath pehchaanta naheeN hooN abhee raahabar ko maiN [ rau = currents, raahabar = guide ] 7. KHwaahish ko 'ahamqoN ne parastish diya qaraar kya poojta hooN us but-e-bedaadgar ko maiN ? [ 'ahmaq = fool/idiot, parastish = worship, but = idol/lover, bedaadgar = cruel ] 8. fir be_KHudee meiN bhool gaya raah-e-koo-e-yaar jaata wagarna ek din apnee KHabar ko maiN [ be_KHudee = rapture, koo-e-yaar = lover's street ] 9. apne pe kar raha hooN qiyaas 'ahl-e-dahar ka samjha hooN dil_pazeer mata'a-e-hunar ko maiN [ qiyaas = supposition, 'ahl = people, dahar = period/era, pazeer = receiving, mata'a = wealth, hunar = skill ] 10. 'GHalib' KHuda kare ki sawaar-e-samand-e-naaz dekhooN 'alee_bahaadur-e-aalee_guhar ko maiN [ sawaar = ride, samand = horse, aalee_guhar = belonging to a high caste or a rich family ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.