1. dhota hooN jab maiN peene ko us seem_tan ke paaNv rakhata hai zid se kheeNch ke baahar lagan ke paaNv [ seem_tan = silver bodied, lagan = a basin ] 2. dee saadgee se jaan paDooN kohakan ke paaNv haihaat ! kyoN na TooT gaye peerzan ke paaNv [ kohakan = a mountain digger, haihaat = alas !, peerzan = old woman ] 3. bhaage the; ham bahut see uskee saza hai ye hokar aseer daabte haiN raahzan ke paaNv [ aseer = prisoner, raahzan = robber ] 4. marham ki justjoo meiN ghira hooN jo door-door tan se siwa figaar hai is KHastaa_tan ke paaNv [ justjoo = desire, figaar = wounded ] 5. allaah re zauq-e-dasht-e-nawrdee ki baad-e-marg hilte haiN Khud-ba-KHud mere andar qafan ke paaNv [ zauq = taste, dasht-e-nawrdee = to roam around in wilderness, marg = death ] 6. hai josh-e-gul bahaar meiN yaaN tak ki har taraf uDate hue ulajhte haiN murGH-e-chaman ke paaNv [ murGH = bird ] 7. shab ko kisee ke KHwaab meiN aaya na ho kaheeN dukhte haiN aaj oos but-e-naazuk_badan ke paaNv [ but = idol/beloved ] 8. 'GHalib' mere kalaam meiN kyoNkar maza na ho ? peeta hooN dhoke KHusrau-e-sheereeN_suKHan ke paaNv [ kalaam = writing/speech, sheereeN = sweet, suKHan = speech/words, KHusrau-e-sheereeN_suKHan = this is pointed at Badshah Zafar ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.