1. woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ? woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ? [ firaaq = separation, wisaal = meeting, shab = night, roz = day, maah = month, saal = year ] 2. fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ? zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ? [ zauq = delight/joy, jamaal = beauty ] 3. dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ? 4. thee woh ik shaKHs ke tasavvur se ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ? [ tasavvur = imagination, raanaai-e-KHayaal = tender thoughts ] 5. 'eisa aasaaN naheeN lahoo rona dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ? [ haal = spiritual ecstasy ] 6. hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishq waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ? [ qamaar_khaana = casino, girah = knot/joint ] 7. fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ? [ wabaal = calamity ] 8. muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib' wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN ? [ muzmahil = exhausted/idle, quwa'a = limbs, anaasir = elements, 'eitdaal = moderation ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.