1. rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye [ be_baak = outspoken/bold, paak = pure/clean/holy ] 2. sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-maikashee the; ye hee do hisaab, so yoN paak ho gaye [ sarf = expenditure, baha = value/price, mai = bar, aalaat = instruments/apparatus, maikashee = boozing ] 3. ruswa-e-dahar go hue aawaargee se tum baare tabeeyatoN ke to chaalaak ho gaye [ dahar = world, baare = atlast ] 4. kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be_asar parde meiN gul ke laakh jigar chaak ho gaye [ chaak = slit/torn ] 5. pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka aap apnee aag se KHas-o-KHaashaak ho gaye [ wujood = existence, adam = non existence, KHas-o-Khaashaak = destroyed ] 6. karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye [ taGHaaful = negligence, gila = complaint, KHaak = dust/ashes ] 7. is DHang se uTHaayee kal usne 'Asad' ki laash dushman bhee jisko dekhke GHamnaak ho gaye [ GHamnaak = grief stricken ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.