1. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage [ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ] 2. ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage [ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ] 3. juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage [ juz = other than, aalam = world, hastee = existence, ashiya = things/items ] 4. hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage [ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ] 5. mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ? too dekh ke kya rang tera mere aage 6. sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ? baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage [ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer, but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ] 7. fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage [ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse, sahaba = wine, esp. red wine ] 8. nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage [ gumaaN = doubt, rashk = envy ] 9. imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage [ kufr = impiety, kaleesa = church/cathedral ] 10. aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam majnooN ko bura kehti hai laila mere aage [ farebee = a fraud/cheat ] 11. KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage [ hijr = separation ] 12. hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage [ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ] 13. go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage [ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet ] 14. ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera 'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage ! [ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.