1. koee din gar zindagaanee aur hai apne jee meiN hamne THaanee aur hai 2. aatish-e-dozaKH meiN ye garmee kahaaN soz-e-GHam haay nihaanee aur hai [ dozaKH = hell, soz = passion/heat, nihaanee = internal/hidden ] 3. baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai [ sar_giraanee = pride ] 4. deke KHat muNh dekhta hai naamabar kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai [ naamabar = messenger ] 5. qaata-e-'amaar hai aksar nujoom woh balaa-e-aasmaanee aur hai [ qaata-e-'amaar = killers, nujoom = stars, balaa-e-aasmaanee = natural calamity ] 6. ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam ek marg-e-naagahaanee aur hai [ balaayeN = calamities, marg = death, naagahaanee = sudden/ accidental ]
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.