1.      na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
        duboya  mujhko  hone  ne,  na  hota  maiN  to  kya  hota ?

2.      huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
        na  hota  gar juda  tan  se to  zaanooN  par dhaRa hota

        [ behis = shocked/stunned, zaanooN = knee ]

3.      huee muddat ke  'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
        wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota  to kya hota ?

        [ muddat = duration/period ]

Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.