1. woh aake KHwaab meiN taskeen-e-iztiraab to de wale mujhe tapish-e-dil, mazaal-e-KHwaab to de [ taskeen = satisfaction, iztiraab = anxiety, tapish = burn/passion, mazaal = strength ] 2. kare hai qatl lagaawat meiN tera ro dena teree tarah koee teGH-e-nigah ko aab to de [ lagaawat = affection, tegh = sword, aab = cool ] 3. dikhaake jumbish-e-lab hee tamaam kar hamko na de jo bosa, to muNh se kaheeN jawaab to de [ jumbish = motion/vibration, bosa = kiss ] 4. pila de oak se saaqee jo hamse nafrat hai pyaala gar naheeN deta na de, sharaab to de [ oak = palm of the hand contracted so as to hold water ] 5. 'Asad' KHushee se mere haath paaNv phool gaye kaha jo usne zara mere paaNv daab to de
Maintained by smriti.com.
Comments and Suggestions are welcome.