1.      har ek baat pe kehte ho tum ke  'too kya hai' ?
        tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai  ?

        [ guftgoo = conversation ]

2.      na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
        koee  batao  ki woh shoKH-e-tund_KHoo  kya  hai ?

        [ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ]

3.      yeh rashk  hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
        wagarna   KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo   kya  hai ?

        [ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree,
          KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching,
          adoo = enemy ]

4.      chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
        hamaaree  jeb ko ab  haajat-e-rafoo  kya hai ?

        [ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity,
          rafoo = mending/darning ]

5.      jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
        kuredate  ho jo ab  raakh,  justjoo kya  hai ?

        [ justjoo = desire ]

6.      ragoN meiN  dauDte firne  ke ham naheeN qaayal
        jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

7.      woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
        siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

        [ bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine,
          gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like
          the smell of musk ]

8.      piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
        yeh   sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo   kya  hai ?

        [ KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ]

9.      rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
        to kis ummeed pe  kahiye ke aarzoo  kya hai ?

        [ guftaar = speech/discourse ]

10.     bana  hai  shaah ka musaahib, fire hai itaraata
        wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai ?

        [ musaahib = comrade/associate ]


Maintained by smriti.com.

Comments and Suggestions are welcome.