Browse songs by

zindagii kaa ajab fasaanaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

la : zindagii kaa ajab fasaanaa hai
rote-rote bhii muskuraanaa hai
zindagii kaa ajab fasaanaa hai

mu : ishq me.n jaanate hai.n jaan ga_ii -2
phir bhii kahate hai.n aazamaanaa hai -2

la : kaisii mushqil hai ko_ii kyaa jaane -2
aag ko aag se bujhaanaa hai
zindagii kaa ajab fasaanaa hai

mu : dil lagaayaa thaa par na thii ye Kabar -2
maut kaa ye bhii ek bahaanaa hai
la : rote-rote bhii muskuraanaa hai
mu : zindagii kaa ajab fasaanaa hai
la : rote-rote bhii muskuraanaa hai

Comments/Credits:

			 % Comments: GEETanjali series, LATAnjali  series, anilda series
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image