Browse songs by

zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa - - Mukesh

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa

muaaf kar naa sakii merii zindagii mujhako
vo ek lamhaa ki mai.n tujhase ta.ng aayaa thaa

shaguftaa phUl simaT kar kalii bane jaise
kuchh is tarah se tUne badan churaayaa thaa

guzar gayaa hai koI lamhaa-e-sharar kii tarah
abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa

pataa nahii.n ki mere baad unape kyaa guzarii
mai.n chaa.Nd khvaab zamaane me.n chho.D aayaa thaa

Comments/Credits:

			 % Credits: (tanvi@utxvms.cc.utexas.edu)
%          Preeti Ranjan Panda (ppanda@ics.uci.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image