zamii.n se hame.n aasamaa.N par biThaa ke giraa to na doge
- Movie: Adaalat
- Singer(s): Mohammad Rafi, Asha Bhonsle
- Music Director: Madan Mohan
- Lyricist: Rajinder Krishan
- Actors/Actresses: Yaqub, Pran, Murad, Nargis, Pradeep Kumar, Achala Sachdev
- Year/Decade: 1958, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
do : aa aa aa
aa : zamii.n se hame.n aasamaa.N par
biThaa ke giraa to na doge
ra : agar ham ye puuchhe.n ke dil me.n
basaa ke bhulaa to na doge
aa : zamii.n se hame.n ...
ra : agar ham ye puuchhe.n ...
aa : ( ai raat is vaqt aa.Nchal me.n tere
jitane bhii hai.n ye sitaare ) -2
ra : jo de de tuu mujhako to phir mai.n luuTaa duu.N
kisii kii nazar pe ye saare
aa : aa
kaho ke ye ra.ngiin sapane
sajaa ke miTaa to na doge
ra : agar ham ye puuchhe.n ...
aa : ( tumhaare sahaare nikal to pa.De hai.n
hai ma.nzil kahaa.N dil na jaane ) -2
ra : jo tum saath doge to aa_egii ek din
ma.nzil gale se lagaane
aa : aa
itanaa to dil ko yaqii.n hai
hame.n tum daGaa to na doge
ra : agar ham ye puuchhe.n ...
do: aahaa-haa haahaa-haa haahaa-haa
la-laa-laa la-laa-laa la-laa-laa
m.h-h.hm.h h.hm.h-h.hm.h-h.hm.h h.hm.h-h.hm.h-h.hm.h
aahaa-haa haahaa-haa haahaa-haa