Browse songs by

ye mard ba.De dil sard ba.De bedard

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ye mard ba.De dil sard ba.De bedard na dhokhaa khaanaa
miiThii miiThii batiyo.n me.n bhuul ke na aanaa

hote hai.n chhoTe dil ke lambii zubaan vaale
dete hai.n maal khoTaa uu.Nchii dukaan vaale
chhoTaa mu.Nh aur baat ba.Dii ye hai dastuur puraanaa
miiThii miiThii batiyo.n me.n bhuul ke na aanaa ...

baat pate kii hai ye maano jo meraa kahanaa
achchhaa hai aag se to duur hii duur rahanaa
jhuuThii inakii jaat ba.Dii ye hai dastuur puraanaa
miiThii miiThii batiyo.n me.n bhuul ke na aanaa ...

## Rafi version ##
ye mard ba.De dil sard ba.De bedard chalo jii maanaa
mardo.n kaa phir bhii Gulaam hai zamaanaa ...

duniyaa ke saath chalo nayaa zamaanaa hai ye
mardo.n ko dosh denaa raag puraanaa hai ye
jhuuThii inakii jaat kaho yaa kaho inhe.n diivaanaa
mardo.n kaa phir bhii Gulaam hai zamaanaa ...

gussaa guruur la.Danaa naarii kii bhuul hai ye
ThaNDaa mijaaz rakhanaa pahalaa usuul hai ye
baat pate kii kahataa huu.N tum chaahe kaho diivaanaa
mardo.n kaa phir bhii Gulaam hai zamaanaa ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image