Browse songs by

ye bhii koii ruuThane kaa mausam hai diivaane

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

(ye bhii koii ruuThane kaa mausam hai diivaane)-2
qismat se aate hai.n pyaar ke zaamaane
ye bhii koii ruuThane ...

(dekho saavan Dole, bhiigii zulfe.n khole)-2
maano re o bhole
o bhole baabu, o bhole
o bhole bhaale baabu,o bhole
dekho rukate nahii.n hai.n bahaar ke zamaane
ye bhii koii ruuThane ...

(dha.Dakan ke ye gaane, chitavan ke afasaane)-2
sun sun o diivaane
(diivaane tuu kyaa jaane diivaane)-2
ajii milate kahaa.N hai.n qaraar ke zamaane
ye bhii koii ruuThane ...

(dil se dil jo.Do bhii, do nainaa mo.Do bhii)-2
o sai.nyaa chho.Do bhii
(chho.Do bhii balamaa, sai.nyaa chho.Do bhii)-2
kahii.n biite na yuu.N hii ye pyaar ke zamaane
ye bhii koii ruuThane ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
% Date:9 March 2001
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image