Browse songs by

yahaa.N badalaa vafaa kaa bevafaaii ke sivaa kyaa hai

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ra: yahaa.N badalaa vafaa kaa bevafaaii ke sivaa kyaa hai
mohabbat karake bhii dekhaa, mohabbat me.n bhii dhokaa hai

nU: kabhii sukh hai, kabhii dukh hai, abhii kyaa thaa, abhii kyaa hai
yuu.N hii duniyaa badalatii hai, isii kaa naam duniyaa hai
kabhii sukh hai, kabhii dukh hai, abhii kyaa thaa, abhii kyaa hai
ta.Dapane bhii nahii.n detii, hame.n majabuuriyaa.N apanii

ra: mohabbat karane vaalo.n kaa ta.Dapanaa kisane dekhaa hai
yahaa.N badalaa vafaa kaa bevafaaii ke sivaa kyaa hai

nU: yuu.N hii duniyaa badalatii hai, isii kaa naam duniyaa hai
kabhii sukh hai, kabhii dukh hai, abhi kyaa thaa, abhii kyaa hai
ra: mohabbat karake bhii dekhaa, mohabbat me.n bhii dhokaa hai
nU: bhulaa do vo zamaanaa jab mujhe apanaa banaayaa thaa
ra: bhulaa do mu.Nh me.n ulfat jab tumhaare lab pe aayaa thaa
nU: bhulaa do vo kasam jo dilaaii thii kabhii tumane
ra: bhulaa do vo kasam jo ki khaaii thii kabhii tumane
nU: bhulaa do dil se tum guzare hue ra.Ngiin zamaane ko
ra: bhulaa do, haa.N bhulaa do ishq ke sazaa fasaane ko
nU: tamannaao.n kii bastii me.n, a.ndheraa hii a.ndheraa hai
ra: kise apanaa kahuu.N koii jo apanaa thaa paraayaa hai
nU: yuu.N hii duniyaa badalatii hai, isii kaa naam duniyaa hai
kabhii sukh hai, kabhii dukh hai, abhii kyaa thaa, abhii kyaa hai
ra: mohabbat karane vaalo.n kaa ta.Dapanaa kisane dekhaa hai
yahaa.N badalaa vafaa kaa bevafaaii ke sivaa kyaa hai
yahaa.N badalaa ...

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Credits: Balaji A.S. Murthy 
% Date: 07/28/1996
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image