Browse songs by

vo bijalii hai.n ham sholaa, aaj naa jaane kyaa hogaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

vo bijalI hai.n ham sholaa, aaj nA jaane kyaa hogaa
chaa.Nd se Takkar suuraj kii, lo aayaa din qayaamat kaa
ho ho ho yaaro.n husn kii ishk se ye pahalI mulaakaat hai
aa haa haa vallaah kyaa baat hai, oh ho ho vallaah kyaa baat hai

hote hai.n kaafir yuu.n to, allaah-allaah kahate hai.n dilabar jinako
dil ko u.Daa le.n ha.ns ke, taubaa-taubaa aataa hai jaaduu inako
lekin hamase jo aa.Nkh milii to, khaa gaye vo bhii chakkar
sab naaz vo apane bhuul gaye, aur bhuul gaye sab aka.D
unako paanii piinaa pa.Daa, ye hai naazuk vaqt ba.Daa
chaa.Nd se Takkar suuraj kii, lo aayaa

aisii bhii kyaa madahoshI, dekho-dekho hosh nahii.n A.Nchal kaa
kahatI hai saaf nigaahe.n, allaah kasam haal buraa hai dil kaa
hai baat abhii to aa.Nkho.n tak, aage zaalim kyaa hogaa
jab dil ko chhuu legii najar, jaane aalam kyaa hogaa
chaa.Nd se Takkar suuraj kii, lo aayaa

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [20a]
%         Poor Shammi had just entered the night club/casino life.
%         the villainess is trying to lure him. She has another song
%         'mahfil me jo aaye tum, jaado sa chhaa gayaa'

%         Then there is a Raani of somewhere who comes to the club 
%         and Shammi sings an electrifying song (a mixture of the 
%         'yeh chaand saa roshan chehra', 'baar baar dekho' feelings)
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image