us raag ko paayal me.n jo soyaa hai jagaa do - - Jagmohan
- Movie: non-Film
- Singer(s): Jagmohan
- Music Director:
- Lyricist:
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
us raag ko paayal me.n jo soyaa hai jagaa do -2
iThalaatii hu_ii chaal se bhauchaal machaa do -2
mahafil se alag rahataa hai mastaanaa tumhaaraa mastaanaa tumhaaraa -2
Kilawat me.n bulaa ke kabhii ho.nTho.n se pilaa do -2
iThalaatii hu_ii chaal
iThalaatii hu_ii chaal se bhauchaal machaa do
( rimajhim ke tarannum kaa mazaa aur bhii ba.Dh jaaye
aur bhii ba.Dh jaaye ) -2
paazeb kii chham chham
paazeb kii chham chham tum agar isame.n milaa do
iThalaatii hu_ii chaal se bhauchaal machaa do
aa_iine me.n jo dekh rahe ho qasam usakii -2
ham tum pe mare.n yaa na mare.n
ham tum pe mare.n yaa na mare.n tum hii bataa do
iThalaatii hu_ii chaal se bhauchaal machaa do
bhauchaal machaa do
( kyaa chiiz ho tum tumako ye maaluum hii kab thaa
maaluum hii kab thaa ) -2
faiyaaz kii badanaam mohabbat ko du_aa do
iThalaatii hu_ii chaal
iThalaatii hu_ii chaal se bhauchaal machaa do
us raag ko paayal me.n jo soyaa hai jagaa do
iThalaatii hu_ii chaal se bhauchaal machaa do