Browse songs by

ulfat kii nayii ma.nzil ko chalaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ulfat kii nayii ma.nzil ko chalaa tuu baahe.n Daal ke baaho.n me.n
dil to.Dane vaale dekh ke chal, ham bhii to pa.De hai.n raaho.n me.n

kyaa kyaa na jafaae.n dil pe sahii.n, par tum pe koii shiqavaa naa kiyaa
is jum.r ko bhii shaamil kar lo mere maasuum Gunaaho.n me.n

jab chaa.ndanii raato.n me.n tuu ne, Kud ham se kiyaa iqaraar-e-vafaa
phir aaj hai.n kyo.n ham begaane, terii beraham niGaaho.n me.n

ham bhii hai.n vahii tum bhii ho vahii ye apanii apanii qisamat hai
tum khel rahe ho Khushiyo.n se, ham Duub gaye hai.n aaho.n me.n

dil to.Dane vaale dekh ke chal, ham bhii to pa.De hai.n raaho.n me.n

Comments/Credits:

			 % Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Ek Mitra
% Comments: The song has been included in Meera Nair's "Kamasutra" as well.
%           That version is by Shobha Gurtu. Iqbal Bano's is probably a
%           non-Film version. The lyrics below are a composite of the two
%           versions.
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image