Browse songs by

tuune raat ga.Nwaa_ii soye ke - - Mukesh

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

tuune raat ga.Nwaa_ii.n soy ke diwas ga.Nwaayaa khaay ke
hiiraa janam amol thaa kau.Dii badale jaay
tuune raat ga.Nwaa_ii.n soye ke

sumiran lagan lagaaye ke mukh se kachhu na bol re
baahar ke paT ba.nd kar a.ndar ke paT khol re

maalaa pherat jug hu_aa (gayaa na manakaa pher)-2
(haath kaa manakaa chho.D de)-2 man kaa manakaa pher
tuune raat ga.Nwaa_ii.n ...

dukh me.n sumiran sab kare sukh me.n kare na koy
jo sukh me.n sumiran kare so dukh kaahe ko hoy

sukh me.n sumiran naa kiyaa dukh me.n karataa yaad re
kahe kabiir us daas ki kaun sune fariyaad

tuune raat ga.Nwaa_ii.n soy ke diwas ga.Nwaayaa khaay ke
hiiraa janam amol thaa kau.Dii badale jaay

Comments/Credits:

			 % Transliterator: Animesh Kumar
% series: Sukhsaagar
% date: 27 Jun, 2003
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image