tuu kahaa.N ye bataa is nashiilii raat me.n
- Movie: Tere Ghar Ke Samne
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: S D Burman
- Lyricist: Hasrat Jaipuri
- Actors/Actresses: Nutan, Dev Anand
- Year/Decade: 1963, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
% Here is a Rafi solo from 'Tere Ghar ke Saamne'.
% Dev walks on the rain-drenched streets looking for Nutan and
% finally she comes out in the balcony of her house..
% Have a nice day!
% bye
% satish
tuu kahaa.N, ye bataa, is nashiilii raat me.n
maane naa meraa dil diivaanaa
haay re ... maane naa meraa dil diivaanaa
he ... ba.Daa naTakhaT hai samaa - 2
har nazaaraa hai javaa.N
chhaa gayaa chaaro.n taraf, merii aaho.n kaa dhuaa.N
dil meraa, merii jaa.N, naa jaanaa ... tuu kahaa.N ...
o o ... aaii jab Tha.nDii havaa - 2
maine puuchhaa jo pataa
vo bhii kataraake gaI, aur bechain kiyaa
pyaar se, tuu mujhe, de sadaa ... tuu kahaa.N ...
he ... chaa.nd taaro.n ne sunaa - 2
in bahaaro.n ne sunaa
dard kaa raag meraa, rahaguzaaro.n ne sunaa
tuu bhii sun, jaaneman, aa bhii jaa ... tuu kahaa.N ...
o o ... pyaar kaa dekho asar - 2
aae tum thaame jigar
mil gaI aaj mujhe, merii manachaahii Dagar
kyuu.N chhupaa, ek jhalak, phir dikhaa ... tuu kahaa.N ...
Comments/Credits:
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % Satish Subramanian (subraman@myria.cs.umn.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)