Browse songs by

tum mere saamane aayaa na karo - - Jagmohan

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

tum mere saamane aayaa na karo -2
dil me.n jo dard chhupaaye huu.N mai.n -2
usako rah rah ke ba.Dhaayaa na karo -2

dekh ke tumako badal jaatii hai haalat dil kii -2
aur ba.Dh jaatii hai is tarah ta.Dap ghaayal kii
so_ii chaahat ko jagaayaa na karo -2

ham kabhii ek the
ye puraanii ho ga_ii
aapabiitii jo hamaarii thii
kahaanii ho ga_ii
pichhale din yaad dilaayaa na karo -2

jii nahii.n chaahataa
jii nahii.n chaahataa jiine ko jiye jaataa huu.N
zi.ndagii zahar hai bebas huu.N piye jaataa huu.N
ab mujhe aur sataayaa na karo
tum mere saamane aayaa na karo

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image