Browse songs by

tum bin jiyaa jaa_e kaise

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

tum bin kyaa hai jiinaa kyaa hai jiinaa
tum bin kyaa hai jiinaa

tum bin jiyaa jaa_e kaise
kaise jiyaa jaa_e tum bin
sadiyo.n se la.mbii hai.n raate.n
sadiyo.n se la.mbe hu_e din
aa jaa_o lauT kar tum ye dil kah rahaa hai

phir shaam-e-tanhaa_ii jaagii phir yaad tum aa rahe ho
phir jaa.n nikalane lagii hai phir mujhako ta.Dapaa rahe ho
is dil me.n yaado.n ke mele hai.n tum bin bahut ham akele hai.n
aa jaa_o lauT kar ...

kyaa kyaa na sochaa thaa maine kyaa kyaa na sapane sajaa_e
kyaa kyaa na chaahaa thaa dil ne kyaa kyaa na aramaa.n jagaa_e
is dil se tuufaa.n gujarate hai.n tum bin to jiite na marate hai.n
aa jaa_o lauT kar ...

View: Plain Text, हिंदी Unicode, image