tum aa.Nkho.n se duur ho saathiyaa, beliyaa, saajanaa
- Movie: Mirza Sahiban
- Singer(s): Noorjahan, G. M. Durrani
- Music Director: Husnlal-Bhagatram, Pt Amarnath
- Lyricist: Aziz Kashmiri
- Actors/Actresses: Noorjahan, Gope, Gulab, Trilok Kapoor
- Year/Decade: 1947, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
nuur jahaa.N:
tum aa.Nkho.n se duur ho, huii nii.nd aa.Nkho.n se duur
mere saathii Gam kii choT se huaa dil kaa shiishaa chuur
saathiyaa, beliyaa, saajanaa, ho o o ...
durraanii:
mujhe shikavaa hai taqadiir se, nahii.n tumase koii Gilaa
haay, nahii.n tumase koii Gilaa
mujhe laakar yuu.N pardes me.n meraa sab kuchh chhiin liyaa
haay, meraa sab kuchh chiin liyaa
saathiyaa, beliyaa, saajanaa, ho o oy ...
nuur jahaa.N:
merii aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu aa base, huu.N rone par majabuur
mere zaKm hue pardesiyaa, aa ris-ris ke naasuur
saathiyaa, beliyaa, saajanaa, ho o o ...
durraanii:
mujhe rogii karake pyaar kaa, diyaa Gam kaa rog lagaa
haay diyaa Gam kaa rog lagaa
mere jalate hue charaaG ko merii, qismat ga_ii bujhaa
haay, merii qismat ga_ii bujhaa
saathiyaa, beliyaa, saajanaa, ho o oy ...
nuur jahaa.N:
mujhe dhokaa diyaa nasiib ne, nahii.n meraa koii kusuur -2
saathiyaa, beliyaa, saajanaa ho o o ...
Comments/Credits:
% Transliterator: Rajiv Shridhar% Date: 07/28/1996