terii pyaarii pyaarii surat ko, kisii kii nazar naa lage
- Movie: Sasural
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Hasrat Jaipuri
- Actors/Actresses: Rajendra Kumar, Saroja Devi
- Year/Decade: 1961, 1960s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
terii pyaarii pyaarii sUrat ko, kisii kii nazar naa lage
chashm-e-bad duur
mukha.De ko chhupaa lo aa.Nchal me.n, kahii.n merii nazar naa lage
chashm-e-bad duur
yuu.N naa akele phiraa karo, sabakii nazara se Daraa karo (2)
phuul se zyaadaa naazuq ho tum chaal sambhal kar chalaa karo
zulfo.n ko giraa lo gaalo.n par, mausam kii nazar naa lage
chashm-e-bad duur
terii pyaarii pyaarii...
ek jhalak jo paataa hai, raahii vahii.n ruk jaataa hai (2)
dekh ke teraa ruup salonaa chaa.Nd bhii sar ko jhukaataa hai
dekhaa na karo tum aa_iinaa kahii.n Kud kii nazar naa lage
chashm-e-bad duur
terii pyaarii pyaarii...
dil me.n chubhe wo tiir ho tum, chaahat kii taqadiir ho tum (2)
kaun na hogaa tum pe diwaanaa, pyaar bharii tasviir ho tum
nikalaa na karo tum raaho.n par, zarro.n kii nazar na lage
chashm-e-bad duur
Comments/Credits:
% Credits: Sanjeev Ramabhadran (@princeton.edu) % Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Satish Kalra provided third stanza