terii Kaatir sitam ... jo Kushii se choT khaaye
- Movie: Dil-e-Naadaan
- Singer(s): Talat Mehmood
- Music Director: Ghulam Mohammad
- Lyricist: Shakeel Badayuni
- Actors/Actresses: Talat Mehmood
- Year/Decade: 1953, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
terI khAtir sitam dil pe gavaaraa kar liyaa mai.nne
kahaa kisane muhabbat se kinaaraa kar liyaa mai.nne
jo khushI se choT khaaye,
vo jigar kahaa.N se laauu.n - 2
kisii aur ko jo dekhe,
vo najar kahaa.N se laauu.n - 2
jo khushI se choT khaaye
mujhe terI aarazuu hai,
mere dil me.n tuu hii tuu hai - 2
base gair jisame.n aa kar,
mai.n vo ghar kahaa.N se laauu.n - 2
jo khushI se choT khaaye
terI berukhii pe sadake,
terI har adaa pe kurbaa.n - 2
kare aur ko jo sajade,
mai.n vo sar kahaa.N se laauu.n - 2
jo khushI se choT khaaye
vo jigar kahaa.N se laauu.n - 2
jo khushI se choT khaaye
Comments/Credits:
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % ## A TALAT TID BIT : Talat also recorded the song 'Chal ud % jaa re panchi, ke ab ye des hua begana' for the old movie % 'Bhabhi' but it was never used in the film. % ##