suhaanii raat Dhal chukii, naa jaane tum kab aaoge
- Movie: Dulari
- Singer(s): Mohammad Rafi
- Music Director: Naushad
- Lyricist: Shakeel Badayuni
- Actors/Actresses: Madhubala
- Year/Decade: 1949, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image
(suhaanii raat Dhal chukii
naa jaane tum kab aaoge ) - 2
jahaa.N kii rut badal chukii .a .a .a
naa jaane tum kab aaoge
nazaare .a .a .a apanii mastiyaa.n
dikhaa dikhaa ke so gaye
sitaare .a .a .a apanii raushanii
luTaa luTaa ke so gaye
har ek shammaa jal chukii
naa jaane tum kab aaoge
suhaanii raat Dhal chukii ...
ta.Dap rahe hai.n ham yahaa.N - 2
tumhaare i.ntazaar me.n - 2
(khizaa kaa ra.ng, aa chalaa hai
mausam-e-bahaar me.n ) - 2
mausam-e-bahaar me.n
havaa bhii rukh badal chukii .a .a .a
naa jaane tum kab aaoge
suhaanii raat Dhal chukii
naa jaane tum kab aaoge
Comments/Credits:
% Credits: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)